People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 7 *

Ud Ja Ud Ja
Singer: Mohammad Rafi
Music: S.D. Burman
Lyricist: Kaifi Azmi
Tag: Hindi
Video:
ud ja ud ja pyase bhanware
ras na milega dharo me
kagaj ke phul jaha khilte hain
baithna un gulzaro me
nadan tamanna reti me
ummed ki kashti kheti hain
ik hath se deti hain duniya
sau hatho se le leti hain
ye khel hain kabse jari
hay bichhde sabhi
bichhde sabhi baari baari
are dekhi jamane ki yaari
bichhde sabhi baari baari

kya leke mile, ab duniya se
aansu ke siva, kuchh paas nahi
aa phul hi phul the daman me
yaha kaanto ki bhi aash nahi
matlab ki duniya hain sari
bichhde sabhi, bichhde sabhi baari baari
are dekhi jamane ki yaari
bichhde sabhi baari baari
bichhde sabhi baari baari
Waqt Ne Kiya
Singer: Geeta Dutt
Music: S.D. Burman
Lyricist: Kaifi Azmi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Kagaz-Ke-Phool/Waqt-Ne-Kiya-Kya-Haseen-Sitam/ADw,XhF9AXs
Video:
vaqt ne kiyaa kyaa hasi sitam
tum rahe na tum ham rahe na ham
vaqt ne kiyaa

beqaraar dil is tarah mile
jis tarah kabhi ham judaa na the
tum bhi kho gae, ham bhi kho gae
ek raah par chalake do qadam
vaqt ne kiyaa

jaaege kahaan puchhataa nahi
chal pade magar raastaa nahi
kyaa talaash hai kuchh pataa nahi
bun rahe hai dil kvaab dam-ba-dam
vaqt ne kiyaa
Ulte Seedhe Daav Lagaye
Music: S.D. Burman
Lyricist: Kaifi Azmi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Kagaz-Ke-Phool/Ulte-Seedhe-Dao-Lagaye/EixTQh9ARkM
Video:
ulte sidhe are daw lagaye hans hans feka pasa
ulte sidhe are daw lagaye hans hans feka pasa
kare bhagya ki chal bhi dekh diwane
kaisa tujhko fansa
re kaisa tujhko fansa
har kabhi jeet kabhi kahe ka rona re
har kabhi jeet kabhi kahe ka
are kahe ka rona re kahe ka rona re
har kabhi jeet kabhi kahe ka rona re
har kabhi jeet kabhi

teri jeet me hissa jahan ne liya
ab haara to har akela
teri jeet me hissa jahan ne liya
ab haara to har akela
kise dhund raha hai yar mere do roj ka tha wo mela re
har kabhi jeet kabhi kahe ka rona re
har kabhi jeet kabhi kahe ka
are kahe ka rona re kahe ka rona re
har kabhi jeet kabhi

bada naaj tha ek roj jinpe tujhe
tu bhula wo chaale saari
bada naaj tha ek roj jinpe tujhe
tu bhula wo chaale saari
mere banke khiladi baaji utha
ab oro ki aayi baari
har kabhi jeet kabhi kahe ka rona re
har kabhi jeet kabhi kahe ka
are kahe ka rona re kahe ka rona re
har kabhi jeet kabhi kahe ka rona re
har kabhi jeet kabhi
San San San Chali Hawa
Music: S.D. Burman
Lyricist: Kaifi Azmi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Kagaz-Ke-Phool/San-San-San-Woh-Chali-Hawa/Fxoldy0CWFU
Video:
san san san wo chali hawa ruk ruk kan me kuch kaha
san san san wo chali hawa ruk ruk kan me kuch kaha
naye arman jage naye tufan jage jhoke pe jhoka khaye jiya
san san san wo chali hawa ruk ruk kan me kuch kaha
jhoke pe jhoka khaye jiya

mahak gaya ji mera man mera tan ji ha ji hai
lat jo teri lahrayi bahak gaya ji bole dil mil
bole mil mil mil kitni buri rut aayi
purwaiya kare diwana dil chahe kahi ud jana
purwaiya kare diwana dil chahe kahi ud jana
san san san wo chali hawa ruk ruk kan me kuch kaha
naye arman jage naye tufan jage jhoke pe jhoka khaye jiya
san san san wo chali hawa

machal gaye re mane na sune na mane na na na nana na
lagte hai jhoke san san jahar chade re ye pawan dase re
ye pawan pawan dasti hai jaise nagin mar dala re mar dala
puwaiya kare matwala mar dala re mar dala
puwaiya kare matwala san san san wo chali hawa
ruk ruk kan me kuch kaha naye arman jage naye tufan jage
jhoke pe jhoka khaye jiyasan san san wo chali hawa
Hum Tum Jise Kehta Hai
Singer: Mohammad Rafi
Music: S.D. Burman
Lyricist: Shailendra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Kagaz-Ke-Phool/Hum-Tum-Jise-Kahta-Hai/JgwJAUcAUUA
Video:
hum tum jise kahta hai shadi
you know hai pura barbadi
jo tum lalchaoge piche pachtaoge
mind you mind you jayegi aazadi
hum tum jise kahta hai shadi
you know hai pura barbadi
jo tum lalchaoge piche pachtaoge
mind you jayegi aazadi

jab marzi aao jab marzi jao dalo kahi pe bhi dera
jab marzi aao jab marzi jao dalo kahi pe bhi dera
sadko pe gao citi bajao kar do kahi bhi sawera
wah wah wah wah
hum tum jise kahta hai shadi
you know hai pura barbadi
jo tum lalchaoge piche pachtaoge
mind you jayegi aazadi

jis ghar me hum rakhde kadam
hoti hai kya khatirdari
jis ghar me hum rakhde kadam
hoti hai kya khatirdari shadi jo ki chutti hui
surat na dekhegi pari
hum tum jise kahta hai shadi
you know hai pura barbadi
jo tum lalchaoge piche pachtaoge
mind you jayegi aazadi
mind you jayegi aazadi

ranginiya ye mastiya
sab kuch hai yaro ke dam se
ranginiya ye mastiya
sab kuch hai yaro ke dam se
kismat ki bat khushiya hai sath
dunia kyu jalti hai hamse
wah wah wah wah
hum tum jise kahta hai shadi
you know hai pura barbadi
jo tum lalchaoge piche pachtaoge
mind you jayegi aazadi
mind you jayegi aazadi
Ek Do Teen
Singer: Geeta Dutt
Music: S.D. Burman
Lyricist: Kaifi Azmi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Kagaz-Ke-Phool/Ek-Do-Teen-Char-Aur-Panch/NjAjfCx0QEM
Video:
ek do tin char aur panch chhah aur sat ath aur nau
ek jagah sab rahate the, jhagade the par un me sau
ek do tin char aur panch chhah aur sat ath aur nau
ek jagah sab rahate the, jhagade the par un me sau
nau ne kaha ath kya, are chhote ka thath kya
ath sau sau pe, tuf teri izzat pe
sat yah bola chhah se, do hazar kaise
nau ne kaha ath kya, chhote ka thath kya
ath hazar sat pe, tuf teri izzat pe
sat yah bola chhah se, do hazar kaise
akad akad ke bigad, bigad ke jhagada jhajhat
kitakiti kar ke sab ne, sab ko phatakara
rah gaya sab ka munh takata sab se chhota ek chagada
ek do tin char aur panch chhah aur sat ath aur nau
ek jagah sab rahate the, jhagade the par un me sau

ek bichhada tanaha-tanaha phirata tha avara sa
sifar mila use raste me be-qimat nakara sa
ek ne puchha tum ho kaun, ek ne puchha tum ho kaun
us ne kaha mai sirf sifar, ek ne socha mai bhi kya
sabase chhota aur sab sach, mil gae dono ho gae das
chamaka qismat ka tara
ek do tin char aur panch chhah aur sat ath aur nau
ek jagah sab rahate the, jhagade the par un me sau

ek ko jab das banate dekha, sab ne sifar ko roka toka
nau ne pyar se ath milai, ath ne sau-sau bat banai
nau ne pyar se ath milai, ath ne sau-sau bat banai
sat ne rangi jal bichhaya, chah ne saur tufan uthaya
kata-kata ke mita-mita ke sifar ko ek se dur hata ke
chhina ek duje ka sahara, chhina ek duje ka sahara
ek bichhada tanaha-tanahaphirane lage phirata avara
ek do tin char aur panch chhah aur sat ath aur nau
ek jagah sab rahate the, jhagade the par un me sau
Dekhi Zamane Ki Yaari
Singer: Mohammad Rafi
Music: S.D. Burman
Lyricist: Kaifi Azmi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Kagaz-Ke-Phool/Dekhi-Zamane-Ki-Yaari/JwUJfAB0BF4
Video:
dekhi zamane ki yari bichhade sabhi bichhade sabhi bari-bari
dekhi zamane ki yari bichhade sabhi bari-bari
kya leke mile is duniya se ansu ke siva kuchh pas nahi
ya phul hi phul the daman se ya kanto ki bhi as nahi
matalab ki duniya hai sari
bichhade sabhi bichhade sabhi bari-bari
dekhi zamane ki yari bichhade sabhi bari-bari

vaqt hai maharba arzu hai zaba
fikr kal ki kare itani furasat kahan
vaqt hai maharba arzu hai zaba
fikr kal ki kare itani furasat kahan
daur ye chalata rahe rang uchhalata rahe
rup machalata rahe jam badalata rahe

rat bhar mahama hai bahare yahan
rat agar dhal gai phir ye kushiyan kahan
rat bhar mahama hai bahare yahan
rat agar dhal gai phir ye kushiyan kahan
pal bhar ki kushiyan hai sari
pal bhar ki kushiyan hai sari
pal bhar ki kushiyan hai sari
badhane lagi badhane lagi bekarari badhane lagi bekarari
pal bhar ki kushiyan hai sari
badhane lagi bekarari badhane lagi bekarari

ud ja ud ja pyase bhavren, ras na milega kharo me
kagaj ke phul jaha khilate hai, baith na un gulajaro me
nadan tamanna teti me, ummid ki kashti kheti hai
ek hath se deti hai duniya, sau hatho se le leti hai
ye khel hai kab se jari
bichhade sabhi bichhade sabhi bari-bari
are dekhi zamane ki yari bichhade sabhi bari-bari
bichhade sabhi bichhade sabhi bari-bari
kya leke mile is duniya se ansu ke siva kuchh pas nahi
ya phul hi phul the daman se ya kanto ki bhi as nahi
matalab ki duniya hai sari
bichhade sabhi bichhade sabhi bari-bari